Tuesday, 28 May 2013

Subah ki ek shaam......

Subab ki ek shaam.....




Doobta hai sooraj aur din dhalta hai....
Roshni ko cheerkar andhera palta hai......
Aane wale waqt ko dil se nikaal kar....
Samay ko cheerkar koi chhooti raah chalta hai.......

Mud-mud ke peeche koi khwaabon me gum jata hai....
Gir-gir ke koi chalna hi bhool jata hai.......
Aage itna badh chalta hai raahon par....
Ki manzil ki raah chhoot aur thikana gum jata hai.....

Dard ko jeekar khushi milti hai jab....
Baaton hi baaton mein ek sapna pal jata hai......
Andhere ko cheerkar wapas ek kiran se....
Kshitij se suraj fir nikal jata hai....

Subah ki dhoop mann prafullit kr deti hai....
Shaam ka andesha fir dil dukhaata hai.......
Dil fir taar-taar ho jata hai jab.....
 Roshni ko cheerkar fir andhera pal jata hai.......
 Roshni ko cheerkar fir andhera pal jata hai.......


Thursday, 16 May 2013

Ek Daastaannn....


Ek Daastaan.....


Mere har pal, mere har din, meri har saans teri hai....
Jo tune mudh ke yun dekha ki ab ye jaan bhi teri hai.......
Ho chaahe tu khafa mujhse maine ye khud ko bola hai....
Bhale tu ho nahin meri magar tab bhi tu meri hai.......


Main yun roya ki kyun khoya magar tujhko na khounga....
Tha mere pyaar ka jo beej tere dil mein main bounga.......
Ho chaahe aankh mein mere nami is waqt tu sun le....
Main tere paas aaunga le mere sang jaunga.......


Jo chaahat ho nashe mein choor,usko kya hai samjhaana....
Jo aafat paal hi li ho to bachke fir kahan jaana.......
Kai jeete hai dil ke dard ke nasoor ko paake....
Mukaddar mein ho jo jalna, to shama se door kya jana.......


Wo meri baat sunti hai,mere ghum ko samajhti hai....
Na jaane kyun magar mujhko wo aise dekh hansti hai.......
Lagaye zakhm par malham wo mere khud ke haathon se....
Na dil samjhe na mann samjhe ki aisa kyun wo karti hai.......


Kahin aankhon mein paani hai, kahin har shaam rumani hai....
Yahan ek anth bhi nahin, wahan ek nayi kahani hai.......
Jo jeeta tha samete apne seene mein main patthar ko....
Bhulaya khud ko maine ab, bhale khud se bemaani hai............
Bhulaya khud ko maine ab, bhale khud se bemaani hai............

Sunday, 5 May 2013

Haanthon mein to hai mere, lakeeron mein bhi aa ja.....


Haanthon mein to hai mere, lakeeron mein bhi aa ja.....






Zindagi mein hai meri, kismat mein bhi aa ja.....

Yaadon mein hai meri, baahon mein samaa ja.....

Doob chuka hoon tujhme, ab to mujhe dhoondh le.....


Haanthon mein to hai mere, lakeeron mein bhi aa ja.....

Ek din teri yaadon ko jo seene se lagaya.....

Bhool chuka tha sab kuch par tujhko na bhool paya.....

Na tadpa ab mujhe itna, paas tu bula le.....

Ae jaanejigar tujhe kasam hai meri ab seene se laga le.....

Behka tha iraadon se kasmon se vaadon se.....

Pighal gaya tha ye patthar ab pyaar ki barsaaton se.....

Kyun satati hai khwabon me itna, haqeeqat mein bhi aaja.....

Haanthon mein to hai mere, ab lakeeron me bhi aa ja.....

Shayad paas hi na aana tha, yahi hai ab sazaa meri.....

Yun na satane kisi ko yahi hai tujhse iltejaah meri.....

Toot gaya hoon main kahin bikhar na jaaye wo.....

Bach gaya hoon main, kahin mar na jaaye wo.....

Fir bhi ek aas hai, shayad sun le mera ye khwaja.....

Haanthon mein toh hai mere ab lakeeron mein bhi aaja.....


------------------------------------@@@@@@@@@@@@@@---------------------------------------