Tuesday, 30 December 2014

Keh nahin sakta.....!!!

Anb says :-
"" Tujhe pehchaanti hain ye nazrein, keh nahi sakta....
Tera door jana ye dil, seh nahi sakta....
Magar jab bhi guzarti hai kahin aas paas se mere.....
Ye dil apne aap machle bin, reh nahi sakta.....
Dekha karti hai tirchhi nigaahon se, lagta hai aisa....
Wakai dil me kya hai tere, keh nahin sakta....
Lagta hai fir tadpaane ki koshish me hai tu.....
Bina chot khaaye fir se main, reh nahin sakta......
Is baar waar se pehle bata dena, guzarish hai tujhse.....
Peeth par chot khaana dil, seh nahi sakta....
Jo seene par chot khaata hu, muskura deta hu.....
Waar hai tera ya pyaar, keh nahin sakta............""

Monday, 29 December 2014

ye khamoshi bhi bahut kuch kehti hai.....


Anb says :-


""Apne alfaazon ko dhoondh raha hoon..
Kahan gum hai nahin jaanta...
Chehra tha nazron me jana pehchaana...
Ab shayad is naqaab ko nahi jaanta....
Kabhi ghanton ki baatein bhi khamosh rehti hain...
Kabhi khamoshi bahut kuch kehti hai....
Sabhi ko har pal bas apna hi suroor hai...
Humari nazrein tere liye saji baithi hai....
Khair hum bhi tere surror me khudko tera maante hain...
Zamane ko nahi bas tujhko pehchaante hain....
Sochti hai kahin adhron se kuch bayaan na kr de....
Ye khamoshi bhi kambakht bahut kuch kehti hai.......""

Wednesday, 24 December 2014

Raasta wahin hai....

Anb says :-
"" Raasta wahin hai,ab hum do kadam chal lete hain...
Doraha aa gaya, wo khamosh hain, ab hum sambhal lete hain...
Log kehte hain zamana badal gaya hai lekin aaj bhi.....
Chehre ki muskaan ko teri nazaakat samajh lete hain.....

Aankhon ne dhadkan ko behakne naa diya...
Log humein guroor mein choor samajh lete hain....
Jo humne ek katra bhi nazron ka fer diya....
Zamane bhar me aashiq humse bair lete hain....

Khata aisi bhi kya thi, khair chhodo.....
Umra bhar ki tanhai chun lete hain.....
Tu apne khayaalon mein khush rehna duaa hai meri.....
Hum bewafai ko hi saathi chun lete hain.....

Mat dekh palat ke baar baar ab.....
Jate huye na kisi se bair lete hain......
Ansh ek toota aainaa hai zehnaseeb.....
Tu ja apne makhmali ashiyane me...hum to apne hi tukdo pe chal lete hain.......""

Thursday, 18 December 2014

Bikhar ab jaana hai...


Suna tha hai haseen rasta, to socha main bhi ab ho loon.... 
Jo tune de diya tha saath, socha kuch na ab bolu..... 
Badhaaya jo qadam maine, to peeche hat gayin thi tum..... 
Jo tune kar diya hai chup, kuch ab main kya bolu..... 
Koi kehta hai chubhti dhoop, to koi shaam suhani hai.....
Koi samjhe hai afsana, kahin bebaak kahani hai..... 
Hai kiski kis ghutan ka phir se ye aaghaaz tum sun lo..... 
Kiya jo pyaar ab isse, to bas shartein nibhaani hain..... 
Ho ab bhi chup to kya samjhoon, Kya koi aas baaki hai..... 
Hai toote sur main kya bolu, kya koi saaz baaki hai..... 
Kai jeete hai ladkar khud se hai maloom ye mujhko..... 
Hoon lagta runk tujhko ab, tab bhi taaj baaki hai..... 
Kyu khoya hoon kahan jaane, na samjha aur jaana hai..... 
Hai aashiq ki haseen maya, kya khona aur paana hai..... 
Bas itna jaanta hoon main, toota aur bikhra hi..... 
Sametegi mujhe ab kya, bikhar ab aur jaana hai.....

A few Anb says


Anb says :-
""Ek aasmaan par ek meri aankhon mein mehtaab hai...
Noor tumne shayad dekha nahi, maine dekha ek behisaab hai....
ANSH ke nazron se dekh ke to dekhiye...
Taqleefein bhool jayenge apni,wo muskaan laajawaab hai....




Anb says :-
"" Dhal raha hai suraj, shama jalne ko hai.....
Ek muddat ke baad suraj dharti se milne ko hai.....
Ek din bhi ek arse sa lagta hai zindagi ko.....
Aaj phir ek haseen sham palne ko hai........""




Anb says :-
"" Humein dekh kar to wo aisi ainth dikhaate hain....
Na jaane kis ghadi mein kisi ne AAYE HAAYE bol diya hoga...""




Anb says :-
"' Mere aaghaaz ko hi jo na tu samjhi to kaise preet chhaa jayegi.... 
Jo tu samjhi ek katra bhi mere lafzon ka to sada ke liye meri ho jayegi....."'