Friday, 30 January 2015

Barson Ka Thak Haara....

Anb says :-
"" Barson ka thaka haara hoon main...
Ek pal ko ab sukoon chahiye,,,,
Aankhon mein khwaab hazaaron hain....
Kho chuka hai jo wo junoon chahiye.....
Waqt ki thokar se hi seekhta hai insaan.....
Zulm kar liye khud pe, ab saza chahiye,,,,,,,
Chot lagegi tumhe zara raahon mein sambhalna....
Kadmon ko mere bhi ek kaabil mukaan chahiye......
Aur is qadar na dekh, mujhe hosh mein rehna hai.....
Rehne ko toh tera aaj bhi aagosh chahiye.........""

Diya Tum Ho Main Baati Hoon...

Anb says :-
"" Meri is bekarari ko bhala samjhaaun main kaise.....
Abhi tak bol na paaya, toh ab keh jaun main kaise.....
Toh samjhogi bhala kaise meri chaahat ki gehraai........
Jo hu tanha, hai khamoshi, ye sur ab gaun main kaise......

Ek lamha hoon main aawara, khushi aur ghum ka saathi hoon.....
Tera har ghum samete hoon, diya tum ho main baati hoon.....
Teri har aah niklegi mere labon se, ye vaada hai.....
Miley chahe miley na tu, main toh janmon ka saathi hoon.......""

Tuesday, 27 January 2015

Sehar Ho Chuki Hai.....

Anb says :-
"" Khamoshi chhipa nahi sakti, tere dil mein kya hai.....
Chhalak jaane de aansu, sabko khabar ho chuki hai........
Rukh badla hai zindagi ne, to sambhaal le khud ko.....
Tere husn ke deedaar ki sabko, nazar ho chuki hai.......
Khada to aaj bhi hai ANSH, jahan tu chhod gayi thi.....
Lagta hai mujhe bhi is tanhaai ki, khabar ho chuki hai.........
Fark bas itna hai us pal aur is pal mein.....
Chhoda tune saanjh mein tha, ab sehar ho chuki hai.......
Aur aakhiri salaam meri palkon ka leti jaa, main ab vidaa leta hu....
Mere diwaanepan ki sab ko, khabar ho chuki hai.....""

Monday, 26 January 2015

Teri Chahat Hai......

Anb says :-
"" Main yahan khamosh hu, tu wahan udaas hai....
Milne ki mann mein, tere bhi aas hai....
Machal raha hai dil, main wo tadap jaanta hoon....
Kaise kat ta hai har pal, main ye pehchaanta hoon....
Sunai deti har dum mujhe, tere kadmon ki aahat hai.....
Maan liya hai aakhir, is dil ko bas TERI CHAHAT HAI....
Yun nazrein na fer aise, khud ko kitna aur tadpayegi.....
Ek din to aisa aayega, jab laut ke mujh tak aayegi....
Shayad is tadap mein tujhko kuch mazaa mil gaya hai.....
Tere is zulm ki dagar ka mujhko, pata chal gaya hai.....
Tere is dard ko sehna hai, sahunga main....
Zubaan se ek lafz bhi aah ka,ab na kahunga main.....
Bata nahi sakta kaise tujhse door, tere bin raha hoon......
Tere dard ko fir se jeene, fir din gin raha hoon.....

Sunday, 25 January 2015

Kya Wakai Main Tera Diwana Hoon....

Anb says :-
"" Mujhe teri maujoodgi se kuch yun mohabbat hai....
Har our teri baatein sunai, tu dikhai deti hai....
Tu nahi hai, fir bhi tu hai mere saath har dum....
Tujhe paas paata hoon aur bhool jata hoon har ghum....
Andheron mein bhi tera aks dikhai deta hai.....
Khwaabon mein bhi tu hi humesha chhayi rehti hai....
Kaisa suroor hai ye tera jo mujhe madhosh rakhta hai....
Kaisi baatein thi wo teri jo aaj bhi hansa jaati hain.....
Mujhe to shayad ab hosh nahi hai kuch bhi,par log kehte hain....
Ab tu hi ye bata de Kya Wakai Mai Tera Diwana Hoon.........""

Saturday, 24 January 2015

Kishton Mein Hai Zindagi

Anb says :-
"" Sard hawaon ka rukh hai bheetar, Shama bujhni nahi chahiye......
Ummeed to kho di hai thak kar, Shaam dhalni nahi chahiye......
Do pal ko ruk jaate hain thoda, thahar lete hain ab hum bhi...
Waqt se haar gaye hai maana, Der kyu na ho manzil sahi chahiye....

Kabhi jeete hain kabhi marte hain, Har pal bas kat hi jata hai....
Har do kadam par saathi, saath chhod jata hai....
Raiteele kinaro par naam sahi, mitna nahi chahiye.....
To kya hua KISHTON MEIN HAI ZINDAGI, bas katni nahi chahiye......

Hum chhod aaye melon ko, bachkaane un khelon ko.....
Kashm-a-kash hume kisi anjaane doraah par laayi hai.....
Aaye ho aage ab is mod par, to mudna bhi zaroor chahiye......
Zindagi khaakh hi sahi, Khaakh me milni nahi chahiye..........""

Friday, 23 January 2015

Ek Khaamosh Ehsaas.....

Ek naya pattern likha hai...Pasand aaye to aapka swagat chahta hu...

Anb says :-
"" Nazrein tham si jaati hain....
Tham si jaati hain un shararati aankhon mein....
Kho jaati hain us khil-khilahat mein.....
Thahar si jaati hai honthon ke paas wale til par....
Til jo meri nazron ko apna banaye huye hai....
Wo adaayein jo tumko haseen banati hain....
Haseen banati hai wo muskaan wo nazrein ferne par jo aati hai....
Wo muskaan jo mann hi mann bahut kuch kehti hai...
Wo chaand bhi beshak sharma jayega...
Sharma jayega tumhe meri aankhon se dekh kar....
Dekh kar tirchhi nigahon se hi sahi, kayal ho jayega.....
Kayal ho jayega wo deewana ho jayega....
Dekhega zaroor, chup chup hi sahi........""

Wednesday, 21 January 2015

KHAIR CHHODO...

Anb says  :-
"" Ek aarzoo thi, shayad bayaan ho chuki hai...
Shabd toh khamosh the, shayad aam ho chuki hai.....
Mai to khoj raha tha tujhe batane ke raaste....
Yahin baithe shayad aaj bhi phir shaam ho chuki hai......
Kal hi dekha tha tujhe, fir aaj kuch nayi si hai tu....
Pata nahi shayad meri chahat badnaam ho chuki hai...
Kal mujhe apna maan rahi thi aisa laga mujhe bhool se.....
Aaj teri shaksiyat phir, gumnaam ho chuki hai.....
Koi keh raha tha, tujhe gila hai mujhe yun dekhne ka.....
Lagta hai teri chaahat phir nadaan ho chuki hai....
Main bhi kis paththar ke sang ko jee raha tha, KHAIR CHHODO....
Meri sooni zindagani, phir viraan ho chuki hai.....""

Tuesday, 13 January 2015

Muskurana chhod diya...



Anb says :-
"" Maine apne sapno me bhi sapne sajana chhod diya....
Jo raahon me tumne bhi mujhse takrana chhod diya....
Tumhe dekhti hain kai nazrein, mujhe achcha nahi lagta.....
Zehnaseeb ho zara sambhalna, maine ab lad jana chhod diya.....

Saawan beet gaya, sookha pada hai angna aaj bhi....
Pehli baarish ke deewane ne, barsaat me jana chhod diya....
Tu hansti hai aur muskurahat aati hai mere chehre par....
Duniya na jaane kyun kehti hai ANSH ne muskurana chhod diya.......""

Monday, 12 January 2015

Safalta dekh le

Anb says :-
"" Ek kadam to badha aage safalta dekh le...
Apne khwaabon ko manzil ko jhoom le....
Kyun dekhta hai kisi nakaami ka saaya bhi...
Ban aisa ki teri raushni ko mehtab choom le....
Atkalein aayengi, thokar bhi lagegi....
Gir gir ke seekhega, Chot bhi lagegi....
Bas kadam na apne bhatakne dena....
Mazaa bhi aayega manzil bhi milegi........""