Friday, 19 October 2012

Tarastaa hoon

           Tarastaa Hoon.....


Nam aankhon ki sachchai ko, din rain chhupaye rehta hoon.....
Aap beeti dil ki mere, har waqt chhipaye rehta hoon.....
Sehta hoon chup rehta hoon, Tanhaai dikhaai deti hai.....
Koi gaur se dekhe chehre ko, ek jhaai dikhaai deti hai.....
 
Maa kehti hai soja beta, Kahaan tu khoya baitha hai.....
Wo naakami ki duniya hai, Jahaan mann roya baitha hai.....
Yoon toh toot gaya hai dil magar, ek aas lagaye baitha hoon.....
Bas bhula raha us waqt ko jab se, Khwaab sajaye baitha hoon.....
 
Gumsum akela baitha hoon, Ghadiyaan tik tik kar chalti hain.....
Ungliyaan bhi kathor ho chali jo, aankhon ko pal pal malti hain.....
Ye waqt hi kuch aisa hai, sannaata sunai deta hai.....
Aur jeewan ka khaalipan mujhko, meelon door dikhai deta hai.....
 
Pyaare mastaane mausam mein, jeete ji ladta marta hoon.....
Is jhooti sooni duniya se, pal pal main bhaaga karta hoon.....
TARASTA HOON na jaane kyun, sookhi aankhein tar jaati hain.....
Baitha hoon tanha raahon mein, raahein hain par mar jaati hain.....
 
Chal raha hoon ek bojh ko lekar, sambhaalo kahin na gir jaun.....
Jab beet jo beet gaya, raasta hai to aage badh jaun.....
Vyakulta ke sagar mein, Jahaan main khoya baitha tha.....
Kyun waqt gavaya wahaan jahaan, ek dwaar sahi par chhota tha............


                                   -------By Anshuman Babeley

No comments:

Post a Comment