Barsaat Ke Aate-Aate....

Barsaat ke suhaane mausam mein, ateeth me Khoye-Khoye.....
Hosh mein thode behosh hain, kahin pe Khoye-Soye.....
Tak rahe hain raahein, koson door tak koi nahin.....
Sisakti aankhon ko intezaar hai, fir bhi Roye-Khoye.....
Baitha hoon gupchup, takte aasmaan ko.....
Kahin doshi na maan baithoon, suhaane is samaa ko.....
Dosh nahin mera, naa hi kisi aur ka hai.....
Waqt toh badalta rehta hai, to kyun kahoon kisi aur ko.....
Badh gaya hai waqt aage, toh kyun dekhoon toote sapnon ko.....
Khona-paana samajjhna ho, to khoke dekho kisi apne ko.....
Yaadein dhundhla jaati hai, waqt ke saath aage chalte.....
Par uska kya jo saath hi le chalta ho waqt ko apne.....
'Ansh' kehta hai kahaani, apni zubaani jaate jaate.....
Sookh se gaye hain mere aansu, BARSAAT KE AATE AATE.....
Nahin to kehta ki baarish pasand hai mujhe kyunki.....
Chhip jaate hain aansu boondon mein, chehre tak aate aate.....
Chhip jaate hain aansu boondon mein, chehre tak aate aate.....
-----By Anshuman Babeley
Haven't got any comments yet.....donno whethr any1 is reading these or its just ruthless.....
ReplyDelete