Sunday, 1 December 2013

Shaam Dhalne ko hai...

Shaam Dhalne ko hai...



Suraj madhdham ho raha hai shama jalne ko hai.....
Ek lambe intezaar ke baad suraj aur dharti milne ko hai....
Jald hi ye roshni bhi ojhal ho jayegi....
Lo aaj fir ek haseen shaam dhalne ko hai.....


Toot jati hai chehal-pehal,sunnata sunai deta hai.....
Ek saaya ghanghor andhere me har our dikhaai deta hai.....
Shama jo jalayi thi tab,ab toh pighalne ko hai....
Ek muddat ke baad aaj,ek haseen shaam dhalne ko hai.....

Ab to khushi waar de....

Ab to khushi waar de....



Murajhte phool ko jaise hawa tak raas na aayi.....
Khule aakash ke neeche tanik bhi saans na aayi..........
Hua hai haal aisa ye na jaane kab kahan kaise.....
Ho shayad maut hi aaye jo ab tak tu nahi aayi...........

Ho kho diya jo kisiko to aur kaisa ye khumaaar de....
Ab bhi ho jaan baaki mujhme, to shauk se maar de.............
Ho ek pal bhi tera mere liye to janemann....
Ek pal ko hi sahi, ab to khushi vaar de............

Jo mujhme tu hai tujhme main, to chhipna kya chhipaana kya.....
Ho meri jaan jo tujhme to kisse bach kahan jana.............
Ghuma jo pyaar ki kashti ka sahil hai kahin mujhse.....
To chahun bhi pata na hai ki aakhir hai kahan jaana............

Patjhadd beet gaya hai ab toh phoolon ki bahaar de.....
Kai meel tair aaya hu ki shayad ab to tu pyaar de................
Hua ho khatm tera zulm toh ab toh maan le meri......
ARDAAS hai tujhse bas ye, ab to khushi waar de.................

Is raat ki subhaa hi nahi.....

Is raat ki subhaa hi nahi.....



Asal zindagi se door khwaabon mein, hum hain to sahi.....
Kashti ko is bhanwar mein koi chhor, dikhe to sahi..................
Khule aasmaan mein baithe hain subhaa ke intezaar mein.....
Lagta hai ki shayad is raat ki subhaa hi nahi..................

Pal-pal sannaate badhte jaate hain in raahon mein.....
Kaafir ki kismat nahi hoti rukaawaton mein..................
Bas aage badh jana uski kismat ko bhaata hai.......
Chaahe guzarna bhi padhe jalte sehraaon mein...........

Har kadam ek naya safar laata hai jaano.....
Uspar chalna na chalna tumhari kismat hai maano..............
Jo chun hi loge kaanton bhari raah ae musaafir.....
Phool nahi bas kaante hi milenge maano ya na maano...........

Har ek manzar meri aankhon mein hai, bas yaadein hi nahi.....
Tum ashq na maano inhe bas ye paani hi sahi...............
Hazaaron ghumon mein bhi mehfil muskarahat maangti hai chahe.....
Koi chaahe na chaahe is raat ki subhaaa hi nahi..........................

Ek duaa aisi bhi.....

Ek duaa aisi bhi.....




Pal do pal ke is safar mein maine, khud ko ye kaisi sazaa di,,,,,,
Doob jo chuka baaton mein uski, khud ko ye wafa kaisi di......,,,,,,.......
Ab hosh nahin rehta ik pal bhi jeene ka na jaane kyun,,,,,,
Jaane anjaane tujhko maanga, khud ko ye duaa kaisi di.....,,,,,,,.......

Khokar tujhko paane sa lagta hai, khokar dekhoon kya,,,,,,
Jo khoya shayad paa na paun, paakar dekhoon kya......,,,,,,,.......
Mera har shabd tujhe hi kehta hai, sunkar dekh le,,,,,,
Jo paakar hi tujhe kho doon, toh meri duaa hi hai fir kya......,,,,,,......

Tujhko teri chaahat par aitbaar to nahi, waise bhi,,,,,,
Meri nigaah na dikha dein tujhe chehra tera, kaise bhi......,,,,,,,.......
Jo samjhegi tu haal mera kahin kho hi naa doon tujhko,,,,,,
Chaahat chhip jaye tujhse meri, yahi hai "EK DUAA AISI BHI......,,,,,,,........"

Gumnaam Chaahat....

Gumnaam Chaahat....




Ek kissa hai bachkana sa, jana sa pehchaana sa,,,,,
Do samajhdaar nadanon ki, baaton ka mastana sa.....,,,,,.....
Ek soch zara bachkaani si,sharmaati si ghabraati si,,,,,,
Do nazrein milti hain jab, sakuchaai si halkaai si.....,,,,,.....

Sahsa jhuk jaati hain fir, kahin bayaan na kar dein haal-e-dil,,,,,
Ye soch sapne sajane ki,ki shayad kahin wo jayein mil.....,,,,,.....
Din-rain nazar wo aate hain, pal bhar mein hain pal mein ojhal,,,,,
Kyun itna wo ghabraatein hain, ek pal ko sahi wo jaayein mil.....,,,,,.....

Toh kar doon bayaan kya aaj unhe, hai dil mein kya wo chaahein to,,,,,
Na kahein magar ek chhota sa, ek mand ishaara dikhlaayein to.....,,,,,.....
Fir rukta hoon aur pal bhar mein, Ek ghabrahat si aa jati hai,,,,,
Ojhal ho jata hoon nazron se, Khwaahish hai toh par mar jaati h.....,,,,,.........

Kuch Badal Raha hai...

   Kuch Badal Raha Hai....


Khuli aankhon se meri ek sapna pal raha hai,,,,,
Sookhe registaan mein jaise nanha ek phool khil raha hai.....,,,,,.....
Anjaana sa koi chehra mujhe khwaabon mein mil raha hai,,,,,
Sab pehle jaisa hai par shayad kuch badal raha hai.....,,,,,.....

Uthti nigaahein sab bhula deti hain mujhko,,,,,
Sab thehar jaata hai jab-jab, sunta hoon main tujhko.....,,,,,.....
Kaisi hai ye aarzoo kaisi hai ye chaahat,,,,,
Bhool jata hoon main sab par nahin bhool pata tujhko.....,,,,,.....

Ek kasak si uthi hai dil mein, Pagal ye machal raha hai,,,,,
Sochta hai tujhko fir girta hai, shayad ab sambhal raha hai.....,,,,,.....
Ho gaya hai shayad tera, jo shayad kabhi mera dil raha hai,,,,,
Sab to hai pehle jaisa par shayad kuch badal raha hai.....,,,,,.............