Gumnaam Chaahat....
Ek kissa hai bachkana sa, jana sa pehchaana sa,,,,,
Do samajhdaar nadanon ki, baaton ka mastana sa.....,,,,,.....
Ek soch zara bachkaani si,sharmaati si ghabraati si,,,,,,
Do nazrein milti hain jab, sakuchaai si halkaai si.....,,,,,.....
Sahsa jhuk jaati hain fir, kahin bayaan na kar dein haal-e-dil,,,,,
Ye soch sapne sajane ki,ki shayad kahin wo jayein mil.....,,,,,.....
Din-rain nazar wo aate hain, pal bhar mein hain pal mein ojhal,,,,,
Kyun itna wo ghabraatein hain, ek pal ko sahi wo jaayein mil.....,,,,,.....
Toh kar doon bayaan kya aaj unhe, hai dil mein kya wo chaahein to,,,,,
Na kahein magar ek chhota sa, ek mand ishaara dikhlaayein to.....,,,,,.....
Fir rukta hoon aur pal bhar mein, Ek ghabrahat si aa jati hai,,,,,
Ojhal ho jata hoon nazron se, Khwaahish hai toh par mar jaati h.....,,,,,.........
No comments:
Post a Comment