Sunday, 1 December 2013

Ab to khushi waar de....

Ab to khushi waar de....



Murajhte phool ko jaise hawa tak raas na aayi.....
Khule aakash ke neeche tanik bhi saans na aayi..........
Hua hai haal aisa ye na jaane kab kahan kaise.....
Ho shayad maut hi aaye jo ab tak tu nahi aayi...........

Ho kho diya jo kisiko to aur kaisa ye khumaaar de....
Ab bhi ho jaan baaki mujhme, to shauk se maar de.............
Ho ek pal bhi tera mere liye to janemann....
Ek pal ko hi sahi, ab to khushi vaar de............

Jo mujhme tu hai tujhme main, to chhipna kya chhipaana kya.....
Ho meri jaan jo tujhme to kisse bach kahan jana.............
Ghuma jo pyaar ki kashti ka sahil hai kahin mujhse.....
To chahun bhi pata na hai ki aakhir hai kahan jaana............

Patjhadd beet gaya hai ab toh phoolon ki bahaar de.....
Kai meel tair aaya hu ki shayad ab to tu pyaar de................
Hua ho khatm tera zulm toh ab toh maan le meri......
ARDAAS hai tujhse bas ye, ab to khushi waar de.................

No comments:

Post a Comment