Sunday, 1 December 2013

Is raat ki subhaa hi nahi.....

Is raat ki subhaa hi nahi.....



Asal zindagi se door khwaabon mein, hum hain to sahi.....
Kashti ko is bhanwar mein koi chhor, dikhe to sahi..................
Khule aasmaan mein baithe hain subhaa ke intezaar mein.....
Lagta hai ki shayad is raat ki subhaa hi nahi..................

Pal-pal sannaate badhte jaate hain in raahon mein.....
Kaafir ki kismat nahi hoti rukaawaton mein..................
Bas aage badh jana uski kismat ko bhaata hai.......
Chaahe guzarna bhi padhe jalte sehraaon mein...........

Har kadam ek naya safar laata hai jaano.....
Uspar chalna na chalna tumhari kismat hai maano..............
Jo chun hi loge kaanton bhari raah ae musaafir.....
Phool nahi bas kaante hi milenge maano ya na maano...........

Har ek manzar meri aankhon mein hai, bas yaadein hi nahi.....
Tum ashq na maano inhe bas ye paani hi sahi...............
Hazaaron ghumon mein bhi mehfil muskarahat maangti hai chahe.....
Koi chaahe na chaahe is raat ki subhaaa hi nahi..........................

No comments:

Post a Comment