
Bhoole kahun ya bhoole bisre.....
Kissa atteth ka sab batate hai.....
Aur ek khamosh khayal bankar.....
Har raat ubhar kar aate hain.....
Har cheez to chinn chuki hai.....
Aur tanhai bhi chheeni jaati hai.....
Isi tarah har wqt chubhan ye.....
Ek kaskasahat laati hai.....
Main peeche toh dekhta nahi.....
Beeta waqt hi aage aata hai.....
Bhoole kahoon ya bhoole bisre.....
Sabhi kisse dohraata hai.....
Tamanna toh hai aage badhne ki.....
Kambakht kadam hi peeche hathte hain.....
Aur fir kisi mod par humko.....
Tanha ye kar dete hain.....
Jab tanhai pasand aati hai.....
To fir se wo chhin jaati hai.....
Bhoole kahoon ya bhoole bisre.....
Sabhi kisse dohraati hai.....
Adhron se kuch na kahoon par.....
Aankhein sab keh jaati hain.....
Bas aage badhte jaate hain.....
Fir kisson ko dohraate hain.....
Aur tanha fir hum chalte hain.....
Kuch socha nahi ab karte hain.....
Bhoole kahoon ya bhoole bisre.....
Muskurahatein ye de jaate hain....
Kisi se kehte bhi nahi ab toh.....
Bas mann hi mann muskaate hain.............