Shaayari khuli kitaab ki hai.....
Ki band kahin kuch khwaab si hai.....
Un bolti aankhon mein chhipi.....
Ya kisi khaamoshi si hai.....
Kisi duniya ki koi hoor hai.....
Ya kisi ke khwaabon ki noor hai.....
Ki jo dekhe aur bas ye bole.....
Ki haaye ! Chashm-e-baddoor hai.....
Mand muskurahat ke peeche na jaane.....
Kya raaz chhipaya hai.....
Ki chaand ne dekha use.....
Aur wo bhi sharmaya hai.....
Gazab si kashish hai shayad.....
Jo kheench leti apni or hai......
Ki jo dekhe aur bas ye bole.....
Haaye ! chashm-e-baddoor hai.....
Nidhaal se ho jaate hain.....
Wo aks nazar jab aata hai.....
Aur chain dhyaan sab khota hai.....
Jab dor chala wo jaata hai.....
Jab komal awaaz kuch kehti hai.....
Lagta hai sab kahin door hai.....
Ki jo dekhe aur bas ye bole.....
Ki haaaye ! chashm-e-baddoor hai.....
No comments:
Post a Comment