
Beete waqt ka kisse ek.....
Har zakhm taaza kar gaya.....
Aur dhokhe me anjaane me.....
Ek sapna fir se sanwar gaya.....
Tum kehti ho ki baatein beeti.....
Har zakhm naye kar jaati hai.....
Par baaton ki ujli jaali.....
Sab paardarshita dikhlaati hai.....
Har baar ruswa karo bhale.....
Har mehfil me hum seh lenge.....
Par takleefon ke saath sada.....
Kehte hain hum bhi chal lenge.....
Sochein laakhon humse tum.....
Khafa ho aaj lekin yeh.....
Hum jhuthla ise bhi denge fir.....
Apna hi banake dum lenge.....
Kehti nahi chupaati ho.....
Aur "ANSHU" ko samjhaati ho.....
Chaahat kya hai dil ki yeh.....
Aankhon se tum keh jaati ho.....
Aur ek magna muskuraahat se.....
Chup rehkar sab keh jaati ho.....
Subah ho ya shaam dhale.....
Dil me ghar kar jaati ho.....
Kaho to sajda kar doon main.....
Par kehti nahi ghabraati ho.....
Aansu bhi honge janaae par.....
Ye bayaan-e-zuban main deta hoon.....
Padh kar ise ab aankhon mein.....
Halka sa gussa aata ho.....
To kehta hu main jaanejaan.....
Main bhi to kasoor waar hoon.....
Aur sach kahoon to khidmat me.....
Mar mitne ko yaar hoon.....
Aur sach kahoon to khidmat me.....
Mar mitne ko yaar hoon........
No comments:
Post a Comment