
Tanha dil tanha safar.....
Kat ti nahi ye zaalim dagar.....
Sochti hai meri chaahat.....
Bahut chaahat hai magar.....
Door hona meri khushi hai.....
Bas dard hai use.....
Is dard ke aage mere.....
Kuch kehta hoon agar.....
Hat jayega naqaab.....
Jharenge aankhon se shabaab.....
Sach aa jayega mera saamne.....
Honge roobaroo mere khwaab.....
Tabhi door rehta hoon.....
Dard khushi se chhipaye.....
Kasautiyon ko sekhta hoon.....
Par kahin moti na jhar jaaye.....
Doori munasib lagti hai.....
Dil fir bhi pal-pal rota hai.....
Yahi haal kisi ka hota hai......
Jab pyaar kisi ka khota hai.....
Kehta hai "ANSH" yahi.....
Ek baat aaj keh jaata hoon.....
Dil mein hai pyaar athaah mere.....
Par tanha aaj reh jaata hoon.....
Ye meri baatein meri kahaani.....
Meri zindagi meri zubaani.....
Lagti hai badi khush-haal sada.....
Par sooni hai ye zindagani.....
Sochti hai meri chaahat.....
Bahut chaahat hai magar.....
Tanha hai ye dil , tanha hai safar.....
Na jaane kaise kategi ye zaalim dagar.........
No comments:
Post a Comment