
Kuch meethe alfaazon ke zariye.....
Kuch meethi baatein kehta hoon.....
Kuch sunahare lamhon me khoke.....
Unhe baaton me sanjote hoon.....
Ki kaise muskuraahaton se sab chhoot jata hai.......
Har ek nagma aur har ek taal, sab toot jaata hai.......
Kaise dhadkane sehami si jaati hain.....
Wo chanchal muskurahat dikhte hi.....
Aur ojhal ho jaati hain.....
Pal mein palak jhapakte hi.....
Fir is soch me doobe.....
Ki palkein jhapki hi kyun.....
Na jaane kahaan kho gayi....
Wo nazrein na jaane kyun.....
Yahi to hai zindagi.....
Chalti ka naam gaadi.....
Pal me dikhti aur pal mein ojhal hain......
Pal mein pariyan saari.....
Par nazrein to rukti hain.....
Un anjaan si aankhon par hi.....
Fir ojhal ho jaati hain.....
Jo pal mein palak jhapakte hi.....
No comments:
Post a Comment