Pita ( Father )...
Mele jamghat ke shoron mein..
Baithe kandhe par gairon mein..
Jab bheed bhaad ho jati hai...
Maa ki godi dukh jaati hai...
Jab chand khilone lene ko..
Papa papa zid lagti hai...
Ek pal bhi deri hone ko...
Deri pal bhar na lagti hai...
Chahat har poori ho jati...
Bin maange sab mil jata hai...
Jab school ki bhaari fees bhi...
Jaise taise bhar jaati hai...
Jab mehngi khwahishein bhi to...
Jhatt se poori ho jati hai...
Jab bin maange darwaaze par..
Nayi gaadi chamchamati hai...
College ke donation par bhi...
Noton ki gaddi jaati hai...
Kapdon ki khud ko chaah nahi...
Bachche saj dhaj kar rehte hain..
Khud ko katra vaajib nahi...
Bachchon par nadiya behti hai...
Wo pyaar kahan se laoge...
Jo jeewan bhar sukh deti hai...
Khud se badhkar bachchon ki...
Har khushi sar-aankhon rahe magar...
Ek pal ki khud ko chaah nahi...
Chaahein bhi to kuch ho agar...
Is pal ko roko waran beh jaoge...
Jab samjhoge pachtaoge...
Har baatein samajh tab aayengi...
Par Baap kahan se laoge...
Mele jamghat ke shoron mein..
Baithe kandhe par gairon mein..
Jab bheed bhaad ho jati hai...
Maa ki godi dukh jaati hai...
Jab chand khilone lene ko..
Papa papa zid lagti hai...
Ek pal bhi deri hone ko...
Deri pal bhar na lagti hai...
Chahat har poori ho jati...
Bin maange sab mil jata hai...
Jab school ki bhaari fees bhi...
Jaise taise bhar jaati hai...
Jab mehngi khwahishein bhi to...
Jhatt se poori ho jati hai...
Jab bin maange darwaaze par..
Nayi gaadi chamchamati hai...
College ke donation par bhi...
Noton ki gaddi jaati hai...
Kapdon ki khud ko chaah nahi...
Bachche saj dhaj kar rehte hain..
Khud ko katra vaajib nahi...
Bachchon par nadiya behti hai...
Wo pyaar kahan se laoge...
Jo jeewan bhar sukh deti hai...
Khud se badhkar bachchon ki...
Har khushi sar-aankhon rahe magar...
Ek pal ki khud ko chaah nahi...
Chaahein bhi to kuch ho agar...
Is pal ko roko waran beh jaoge...
Jab samjhoge pachtaoge...
Har baatein samajh tab aayengi...
Par Baap kahan se laoge...