Sunday, 28 September 2014

Nihaarti Ankhiyaan.....

Nihaarti Ankhiyaan....



Hai ye aaj bhi  roz ki tarah ek nayi subah...
Par hai ye wahi puraani zindagi ki tarah...
Kat jayegi roz ki tarah kaam me doobte hi...
Par kho jaata hu main ek baat sochte hi...
Ki kyun nihaarti hain wo do ankhian mujhe...
Ki kya kehna chahti hain wo is tarah se...
Lekin na jaane kahan kho jati hain wo mere unhe dhoondne pe...
Har din kuch naye prashno ke saath dikhti hain wo nazrein mujhe...
Un kajraari ankhion me wo kya kashish si chupi hai...
Jo majboor karti hai mujhe har baat sochne mein...
ab to na raaton ko hai neend, na hi hai din ko chain...
Un aankhon ke baare me sochte hi ho jaata hu main bechain...
Na jaane wo kya kehti hain aur kya kehna chahti hain...
Uski yahi baatein to dil ko bhaa jaati hain...
Na jaane wo aankhein mujhe itna kyu satati hain...
Aur mere dhoondne pe fir kahin kho jaati hain...
Pehle main kya tha aur na jaane ab kya ho gya hu...
Khud se hi ye poochta hu ki kya main sach me badal gya hu...
Adhron ki ankahi baatein shayad wo ankhian bol dein...
Ab to ye dua karte hain ki ve saare raaz khol dein...
Lo beet gaya ye din ho chali hai raat...
Fir aayega ek naya din aur hogi ek nayi shuruwaat...
Hu main isi intezaar me ab haathon me liye haath...
Ki kabhi to adhron se hogi un "NIHAARI ANKHION" ki baat.......

No comments:

Post a Comment