Sunday, 28 September 2014

Samjhaaye Kaun....

Samjhaaye Kaun....



Anb says :-
"' Har kadam ek bojhil muskaan badh jaati hai...
Chalti hai zindagi par chaahat thak jaati hai...
Kaise hoon khada bejaan kadmo par chhodo ye samjhaye kaun...
Ye to meri hansi hai jo har chot par khil jaati hai.....

Kai baatein samajhne ko zindagi lag jaati hai...
Kuch baatein pal bhar mein ghar kar jaati hain....
Samjhaane ko to saagar hai par samjhaaye kaun....
Jab kisi ki pyaas ek katre me bhar jaati hai......

Shukriya hai maalik ko jo ye dil bhar jata hai...
Kai dafa shabdon ka teer seema paar kar jaata hai...
Nafa-nuksaan ki baatein to kai hain par Samjhaaye kaun...
Jab taa-umra ka ganit ungliyo par simat jaata hai...."'

No comments:

Post a Comment