Sunday, 28 September 2014

Mehndi....

Mehndi.....



Anb says
"'Hai haanth me tere mehndi,mere nahi kisi gair ke naam ki...
Main kya karu hoke rubaroo isse,ye mere kis kaam ki...
Pal pal mujhe satati hai teri galiyan jinme mera aana jana tha...
Shayad bhool gayi tu wo chehra,kabhi jo jana pehchaana tha...

Doli saji hai aaj teri, khadi hai jaane mujhse door...
Kyun kya hua aisa mujhse,chhin gaya jo aankhon ka noor...
Doli uthegi ab teri kahaar main hi ban jaunga...
Ho jayegi mujhse door dekhein kaha tak chal paunga...

Jaa mujhse door, nahi zarurat kisi saath ki...
Hoon aaj bhi sambhala mai,nahi chaah koi haath ki...
Yun hi duniya mein ANSH ek jeeta jazbaat nahi hai...
Kya hua jo mere haath mein ab tera haath nahin hai....."'

No comments:

Post a Comment