ULJHAN.....
Dawa har marz ki hai waqt, kehta ye zamana hai.....
Jo beete to hai sone sa, na beete zakhm deta hai.....
Hoon kab main ghum mein kab hoon main khushi mein kaun samjhe ye.......
Hai ulfat ya ye hai ULJHAN, na jaanu waqt kaisa hai.....
Na samjhoon main na jaanu main, samajh ye reet na aayi.....
Na khud ke bas me ab hoon main, ye kaisi preet hai chhaaii......
Sambhaaloon khud ke alfaazon ko ya bebaak keh doon main.......
Hai tanhaai jo ye aayi, na jaane kyun na tu aayi.......
Kahoon ULJHAN ya fir suljhan, yahan sabka hi tata(bheed ya aana jana) hai.....
Hain kaante raah mein itne, purana koi naata hai.....
Suna hai fer aata hai chalan mein waqt ke to fir.......
Zara ruk kar ke dekhun main, kya mere paas aata hai.........

No comments:
Post a Comment