Sunday, 28 September 2014

Kaash ye pyaar na kiya hota......

Kash ye pyaar na kiya hota.....



Dil ki ek aarzoo jo khwab ban jaati hai...
Masoom se is dil ko yun tanha kar jaati hai...
Pyaar ke liye tarasti in aankhon ko...
Gam ka deedar kara jaati hain...
Teri chehre ki khushi ke liye tarasta...
Dosti ki aadh me chhupa hota hoon...
Na jaane main ye kaisa sapna sanjoye tha...
Ki khud ki nazron se bhaagta firta hu main...
Sochta hoon ki tab use tavajjo na diya hota...
Toh aaj bhi wahi banda main hota...
Shabaab-e-noor ka ye jaam na piya hota...
Toh khud hi khushi ko yun na khoya hota...
Na hi is dil ko tanha kiya hota...
Kaash ! ae khuda ye ishq na kiya hota...
Ishq ke is junoon me paagal sa ho gaya hoon...
Ki pehle kya tha aur ab kya ho gaya hu...
Jaane bahaar ! hai ye mere pyaar ka khumaar...
Ki bin piye bhi madhosh ho jata hoon main baar baar...
Bandnaam to ho jaati hai wo sharaab yun hi...
Nasha to botal me dikhte us chehre ka hota hai mere yaar...
Ab na karenge kisi se pyaar...
In baaton ko ab rehne bhi deta hu main yaar...
Usse jaate jaate bhi kaash yahi kaha hota...
Ki kaash ! ye pyaar na kiya hota...
Kaash ! ye pyaar na kiya hota...

No comments:

Post a Comment