Ek Antim Salaam....
Yaadon ki gehri si ek jheel se...
Kuch adhoore sapno ki daastaan sunata hoon...
Ki is aashiq ki aashiqi thi kya...
Ye ab sabhi ko batalata hoon main...
Ki meri aankhon me soye sapno ke...
Shakhs ka aks aaj dikhaata hoon....
Jab use jaan na ek junoon sa tha...
Aur use paana to ek aarzoo sa tha...
Uski shabnami aankhon ne kuch haseen sapne dikhaye...
Aur sapne bhi aise toote ki aankhon me aansu bhar aaye...
Dil kuch aisa toota ki maano patthar ho gaya...
Tha toh wahin par na jaane kahan kho gaya...
Aaj bhi uski aankhon ke noor ko jab dekhta hoon...
Toh khud-ba-khud hi khud ko bisaar leta hoon...
Na jaane wo andaaz-e-bayaan ki khata thi...
Ya hamari kisi pichli galati ki saza thi...
Ki aaj bhi ye dil kitna tadapta hai...
Aur uski ek jhalak paane to machalta hai...
Par uske saamne aate hi ek guroor sa aa jata hai...
Aur shayad ab toh mere dil ko bhi yahi bhata hai...
Is shayar ka aap sabhi ko ab hai ye antim salaam...
Aur sab pyaar se pyaar karo yahi hai mera payaam........,,,,,.....

No comments:
Post a Comment