Sunday, 28 September 2014

Ek Zamana Tha.......

Kuch lines ke zariye main pyaar ke badle huye maayno ke baare me kehna chahunga....k pehle pyaar kya aur kaisa tha aur ab aaj kaisa h....achcha lage to batana na lage to b bata hi dena...:P:P:P

Ye pyaar kaisa hua karta tha.... :-

   Nazaakati aankhon mein, khushi ka tarana tha.....
                      Har gali har chaubaare me pyaar ka fasana tha.....
   Baaton me jhijhak hoti thi, aankhon ka sab khel tha.....
                      Nazron se baatein hoti thi,dilon ka wo mail tha.....
   Baithe baithe kahin khoo jaate the.....
                      Band aankhon me sapne sanjoye jaate the.....
   Chori chhipe mulakaatein thi, dillagi ka fasana tha.....
                      Khwabon me aana jaana tha,aisa ek zamana tha......
   Uski adaa uski hayaa, mere liye nazrana tha.....
                      Har jagah wahi dikhti thi aisa ek zamana tha.....

Aur ye pyaar kaisa ban gaya hai... :-    

   Par aaj sab gum gaya hai, aashiqi bhi lalchai hai.....
                      Prem ki bhookh vaasna bankar, dillagi ko lalchaai hai.....
   Badal gaye pyaar ke maayene shayad.....
                      Ye soch meri rroh ghabraai hai.....
    Badh jaate hian aage, kaha kuch keh kuch jaana tha.....
                      Kai aankhein thi intezaar me, paaya kuch shayad kuch aur paana tha.....
   Dhoondti hain meri nazrein ab,yahin kahin ek mehkhaana tha.....
                      Beet chuka ab beet chuka hai,suhaana sa ek zamana tha.....
   Samajh nahin aaya kuch, shayad khud ko kuch samjhaana tha.....
                      Talaashti meri aankhein aaj bhi kehti hain, kya haseen sa ek zamana tha.........

No comments:

Post a Comment